Tuesday, November 23, 2010

Jab masjid e nabvi kay miinaar nazar aaye,



ASSALAMU ALAIKUM
Jab masjid e nabvi kay miinaar nazar aaye,
Allah ki rahmat kay aasaar nazar aaye,

Manzar ho bayaan kaisey alfaaz nahiin miltay,
Jiss waqt muhammad ka darbaar nazar aaye..

Bas yaad raha itna siinay say lagi jaali,
Phir yaad nahiin kya kya anwaar nazar aaye,

Dukh dard kay maaron ko gham yaad nahiin rahtey,
Jab saamnay aankhon kay gham-khuar nazar aaye..

Makkay ki fizaao me taiba ki hawaon me,
Ham nay to jidhar dekha sarkaar nazar aaye,

Chhorr aaya zahoori mai dil-o-jaan madinay me,
Ab jiina yahaan mujh ko dushwaar nazar aaye..

No comments:

Post a Comment