Friday, October 22, 2010

Quran ki Fariyad




Quran ki Fariyad

Taaqon main sajaya jata hon, Aankhon say lagaya jata hon
Taveez banaya jata hon, dho dho kay pilaya jata hon

Juz dan Hareer o Resham k aur phool sitary chandi k
Phir itir ki barish hoti hay khusbo main basaya jata hon

Jaisay kisi toata maina ko kuch bol sikhaye jatay hain
Is tarhan parhaya jata hon is tarhan sikhaya jata hon

Jab qoal-o-qasam lainay kay liyen takrar ki nobat aati hay
Phir mere zarorat parti hay hathon pe uthaya jata hon

Bataya gaya hay logon ko bakhsi jayen gi sat pushten
Is haseen aqeday per main hifz karwaya jata hon

Mulla, Peer, Malang saray yon to meray garweda hain
Per ye na samjhen kyon aur kaisay main samjhaya jata hon

No comments:

Post a Comment