Saturday, August 7, 2010

Namaz





Namaz

Allah Paak Aur Rasulullah(S.A.W.)

per imaan lane aur toheed wa risalat ki gavahi dene ke

baad sab se pahla aur sab se bada farz islaam mai

namaz hai'namaz Allah Paak ki khas ibadat hai'ye

Islaam ki bunyaad aur sutoon hai 'ye ek talluk ka

naam hai jo bande aur uske rab ke darmiyan kayam hota hai

Namaz ki khas taseer hai ke Allah ta'ala ki taraf dhiyaan karke

puri tawajjoh ke sath padhi jaye tu issse admi ka dil paak wa

saaf ho jata hai 'buraiyya usse chout jati hai Naiki wa sacchai

ki mohabbat aur khuda ka khaouf us ke dil mai paida ho jat hai

alqalz qalme ke baad namaz hi Islaam ki bunyaad hai aur

haqiqat Imaan se us ka aisa gaihra talluk hai ke is ko chore dene

ke baad admi goya kufr ki sarhad tak pahuch jata hai humsabi mai

se har ek ko sochna chahiye ke agar hum ne acchi tarah aur pabandi

ke sath namaz padhne ki adat na dali tu fhir hamara hasshr kya hone wala hai

Allahpaak Humsabhi ko pabandi se Namaz padhne ki toufeeq ata farmaye Aameen

No comments:

Post a Comment