HADEES E MUBARAK
1.**Hadis e Pak**
" Yaqinan Allah har mamla main Narmi karny waly ko pasand karta hay "
(BUKHARI V 5
P 2242 H 5678)
Ya Allah Narmi ata kar.
2.**Hadis e Pak**
" Jis k 3 baity hun or un main say kisi ka name Mohammad na rakhy wo zarur jahil hay "
(KANZUL UMMAL P269 V8 H 4512).
3.Al-Hadees
Un logon ko Khush-khabri Suna do
Jo
Andheray mae Masjidon ki taraf jaty he k Qayamat K Din un k lye Kamil Roshni hogi
{Mishkat Sharif
Pg#90,V#1}.
4.
Dozakh Ki Aag Us Ko Nai Choo Sakti Jo
FAJAR Or MAGIRIB
Ki Namaz K Bad
7,7 Martba Ye Parhe
"Allah Humma Ajirni Minan Nar".
5.
Mafhom
Jo Koi 100 mrtaba Subhan ALLAHI wabihamdihi Parhe to is k Gunah mita
diey jatay hain Khawah is k gunah samumdar ki jhag se bhi ziada hon
(Sahih Bukhari).
6.¤ Al-Hadees ¤
Jo Shakhas Hamisha Her Raat Surah Yaseen Sharif Ki Talawat karta Raha phir Mar Gaya to Shaheed maray ga.
(Dur-e-Mansoor, Page # 38).
7.Mafhom Hadees:
"Kasrat se Durood pak parhna Tumhari Fiqron ko Door karne k liye kafi ha, or Tumhare Gunahon k liye kafara ha"
(Tirmizi, Jild:4, Page:207).
8.
Tajdar e madina Salallahu alyhe wa aalyhe wasalim ne
farmaya" k jis ne Quran parha or usko yaad karliya,us k hilal ko hilal
samjha or haram ko haram jana,us k ghar walo m se un 10 shakhson k bare m
ALLAH AZAWAJAL us ki shafa'at qabul farmaega_jin par Jahanum wajib ho
chuka tha_(tarmizi, ibn e Maja)
9 .*GHEEBAT K KHILAAF JANG*
Teen Logon Ki DUA Qabool Nahi,
1.
Maal-E-Haraam Khaane Waala,
2.
Ziyaada Gheebat Karne Waala,
3.
Muslim Se Hasad Rakhne Waala,
(Gheebat Ki Tabaah Kaariyaan
PAGE#97).
10.
AIK Martaba 4 MUQARRAB FARISHTE Baargaah-e-Risaalat alehi ssalam me Haazir huye!
1) JIBRAEEL alehi ssalam ne arz kia,
YA RASOOLLALLAH !
aap pr jo 10 baar Durood sharif parhega,
usay PUL SIRAAT se Bijli Ki Tezi se Guzaar donga.
2) MEEKA,EEL alehi ssalam ne arz kia,
mien usay Hozay Kosar pr puhincha kr SERAAB kronga.
3) ISRAFEEL alehi ssalam ne arz kia,
mien SAJDAY me us waqt tk para rahonga jb tk uski Bakhshish na hojaye.
4) IZRAEEL alehi ssalam ne arz kia
mien uski ROOH Is Qadar AASAANI se QABZ Kronga Jis tarah Ambia-e-Kiram alehim-us-ssalam ki ROOH nikalta hon.
REF:
(12 HIKAYAAT DUROOD-O-SALAM
page=2-3).
No comments:
Post a Comment